Posts

Showing posts from May, 2017
Jin bulandiyon pe tum apni Naaz karte ho Inse unchi Rahi hai nakamiya meri Sanjoy kanojiya

Aitbaar

Aitbar unpe ab kuch Yun Kiya jaye, Wafa ka jikra unse band Kiya jaye Shehar shehar dhundte hai wo jise, Pata unko ab mere ghar ka diya jaye Sab Jeet Jana raas nahi ata mujhko, ishq hi sahi, chalo is bar har Liya jaye Mukammal ho jaye,esi kahani to nahi Hamari, Mohabbat mai kuch to adhura choor diya jaye SanJoy Kanojiya

har shaam

Har Shaam Jo ati hai zindagi mai Pata puchati hai tumhara Mai Janta Hun,tum nahi ho,kahin nahi ho Par tum ho,yahi kahin ho Jo duriya hai,beshak Kam na hogi ab Jo ehsaas hai,wo bhi khatam na honge ab Zikr jo ho mera,teri meyfil mai kabhi Keh Dena, ajnabi tha,kho Gaya hai ab. sanjoy kanojiya

kagaj ki kasti

Aao aaj fir ek kagaj kasti banate hai, Ek ek karke Pani Mai use chalate hai. Bhul ke Duniyadari, barish mai nahate hai, Boondo se zami pe,Naam ek duze ka likhta hai. sone ki juraabe utar,nange paon milo tey karte hai, Hasi ki potli lene, aao bachpan mai Laut chalte hai. Jhan aaj bhi din raat ke bich Shaam hua Karti hai, Jhan aaj bhi zindagi wakai zindagi hua Karti hai.  Jhan na jhut hai na fareb na Duniyadari ki baatein, Jhan sirf dost hai pyar hai aur shukun bhar ratein jhan iman zinda aur sacahi basar hai nighaao mai jhan riwaayat abhi bhi hai,haar ke jeet jane mai Aao aaj fir ek kagaj kasti banate hai, Ek ek karke Pani Mai use chalate hai sanjoy kanojiya